Ya Allah, humein shirk ke har chhote aur bade gunah se bacha le. Hamare imaan ko paak aur khalis rakh aur sirf apne upar bharosa karne wala bana.
Ya Allah, agar hamare maa baap zinda hain to unki hifazat farma, aur agar duniya se ja chuke hain to unki maghfirat farma.
Ya Allah, jab hum namaz ke liye kharay hon to hamare dil ko duniya ke khayalon se paak farma. Humein apne samne kharay hone ka ehsaas ata farma aur apni rehmat ka qurb naseeb farma.
Ya Allah, Jo musalmaan bhai aur behan nikah ki umar ke ho gaye hai, unke nikah ko mukammal farma. Jo unki aankhon ki thandak bane aur ek doosre ko aapke aur deen ke kareeb kare aise paak rishte ko qubool farma. Halaal rishte ke saath halaal rozi ka zariya naseeb farma.
Ya Allah, Qayamat ke din humein ruswa hone se bacha lena aur apni rehmat ke saaye mein jagah ata farma.
Ya Allah, humein Quran ka haqq ada karne wala bana. Jise hum padhein us par amal bhi kar sakein, aur jo hum samjhein use apni zindagi mein utar sakein. Quran ko hamare liye daleel bana, muqabla karne wala na banana.
Ya Allah, hamare maa baap par apni rehmat nazil farma. Agar zinda hain to sehat aur barkat wali zindagi ata farma, aur agar wafat paa chuke hain to maghfirat farma.
Ya Allah, humein Hajj aur Umrah ki saadat naseeb farma. Is safar ko aasaan, maqbool aur gunahon ki maghfirat ka zariya bana.
Ya Allah, hamari aulaad ko sehatmand aur barkat wali zindagi ata farma. Unke irade mazboot aur dil paak aur khula rahe.
Ya Allah, humein Ramadan ke baad bhi nek aamaal par qayam rakh. Is mahine ki roshni ko hamari poori zindagi ka noor bana dena.