Become a Contributing member of our community
Duas in Category: Rozi
-
Ya Allah Aye Rabbe kainat aye arshul azeem tu rahman hai tu raheem patta patta b tere ijazat ke baghair nahi hil sakta . Aap ki ijazat me hamare maa baap hajj ke safar ko jarahe hai tu inke hajj ko qubool farma and sare arkaan poore karne ki hidayat de shaitan ke vasvase se hifazat farma aur inko safar me khairiyat se rak aur sahi salamat mere maa baap ko ghar wapas le aa Allah..
-
Ya Allah, humare maa baap ne zindagi bhar takleef utha kar humein bada kiya hai. Unki jitni bhi khidmat hum kar lein, kabhi bhi unka badla hum chuka nahi payenge. Ye jo aaram wali zindagi humein aaj mili hai, wo sab unki qurbaniyon ke badolat mili hai. Hum dua karte hai ki humare maa baap ko jannat ul firdaus naseeb ho. Ya Allah humare maa baap ko jahannam se bacha kar jannat naseeb farmana.
-
Ya Allah, humare maa baap ko tandurusti ataa farma. Humein unki khidmat karne ki taufeek ataa farma. Maut ke aane tak humare maa baap ko kisi baat ki takleef na ho. Na bimari ki takleef jo jism mein dard pohonchaye aur na dil ki takleef jo kisi ki baaton se pohonche. Unhein hamesha khush rakhna aur humein unki khushiyon ki wajah banana.
-
Ya Allah, hum gunehgaar hai, bohot sare gunah anjaane mein kar baithte hai, aur kayi gunah jaan kar bhi karte hai. Humare gunah itne bade hai ki maafi ke layak bhi nahi hai, lekin in bade gunaho ke aage Ya Allah aapki rehmat kai guna badi hai. Ya Rahman, aapki rehmat ke aage humare gunaho ko chota samajh kar unhein maaf farma.
-
Ya Allah, aainda jitni zindagi hein, yeh to tu hi Jaanta hein, Ae Allah zindagi ke jitne ayyaam baaqi hein, jitne saal baaqi hein, ae Allah zindagi ke un ayyaam ko apni razamandi wale kaam mein, aur apne Deen mein kharach karne ki tawfeeq Ata farma, ae Allah apne pasandeeda kaamo mein guzaarne ki tawfeeq Ata farma, ae Allah in pasandeeda kaam ko karna hamare liye aasaan karde, in naik kaamo ko karna hamari tabiyat bana de.