Duas in Category: Marriage
No Duas found in this Category
Duas in Other Categories
-
Ya Allah, apne pasandeeda bandon ke liye halal rizq aur barkat ata farma aur unke rishte ko sada khushi aur sukoon se bhar de.
-
Oh Allah Protect our children from harm, sicknesses, disbelief, haraam and destruction. Ya Rabb, Grant our children success in Deen, duniya & Aakhirah & grant us a lineage of righteous offspring until Yawm al Qiyaamah. Ya Allah Make them of those who establish Salah and prostrate only to you.
-
Ya Allah, jin Musalmaan bhai aur behen ka nikah ka waqt aa gaya hai, unke liye paak, barkat aur sukoon wala rishta ata farma. Unki aankhon ki thandak aur dil ki khushi ka zariya bana.
-
Ya Allah, humein namaz ka paband bana. Namaz ko hamari aankhon ki thandak bana aur khushu aur khuzu ke saath namaz padhne ki taufeeq ata farma.
-
Ya Allah, humein Ramadan ke baad bhi nek aamaal par qayam rakh. Is mahine ki roshni ko hamari poori zindagi ka noor bana dena.
-
Ya Allah, humein apni aulaad ki tarbiyat mein hamesha kaamyaab farma. Unko nek amal aur taleem mein taraqqi ata farma aur burai se mehfooz rakh.
-
Ya Allah aap Rahman ho, aap Raheem ho. Ek maa apne bachhe se jitna pyaar karti hai, usse kai guna zyada pyaar aap apne bando se karte ho. Ek maa apne bigde hue bachhe ko seene se laga kar uski buraiyo pe parda dal deti hai, ussi tarah, aap hum sab ki buraiyo pe parda daal kar hum par rahmat barsa aur hum sab ke gunaho ko maaf farma.
-
Ya Allah, jahan jahan Musalmaan zulm, bhook, jang aur museebat mein hain, tu unki madad farma aur unke liye asaaniyan paida farma.
-
Ya Allah, Qayamat ke din hamara hisaab aasaan farma aur humein daaye haath mein nama-e-aamaal ata farma.
-
Ya Allah, humein Hajj aur Umrah ki saadat naseeb farma. Is ibadat ko maqbool, aasan aur hamesha yaadgar bana.