Duas in Category: Protection
No Duas found in this Category
Duas in Other Categories
-
Ya Allah, tu ne Quran mein farmaya ke tu har gunah ko maaf karta hein, chota ho ya bara, Ya Allah, is Ayat ke zel mein ham sab gunehgaro ki maghfirat farma.
-
Ya Allah, humein Jannat-ul-Firdous bina hisaab ke naseeb farma aur apna deedar ata farma.
-
Ya Allah, hamare maa baap ke gunahon ko maaf farma aur unke darjaat ko buland farma.
-
Ya Allah, zindagi ka bohot bada hissa teri nafarmani mein guzr gaya, Ae Allah agar hum isse pehle mar jaate to yaqeenan aap ki pakar mein hote, sakhti mein hote, azaab mein hote, Ya Allah yeh teri rahmat ne na hone diya, tu ne itne mawqe diye ke hum tere saamne hamare gunaho ki maafi maang sake, Ya Allah agar tu ne hamein dhutkar diya to kon hamein panaah dega, Ya Allah koi nahi hein, Ae mere maalik hamare tamaam gunaho ko maaf Farma.
-
Ya Allah, gharwalon aur rishtedaaron ki sehat, izzat aur khushi mein barkat ata farma aur humein unka achha saathi bana.
-
Ya Allah, humein rozi ke liye kisi ke saamne jhukne se bacha le. Apni rehmat se humein kaafi farma aur apne fazl par bharosa ata farma.
-
Ya Allah, humein un bandon mein shamil farma jinke liye namaz aankhon ki thandak hai. Maut tak namaz ki hifazat naseeb farma aur namaz ko hamare liye Aakhirat mein nijaat ka zariya bana.
-
Ya Allah, agar hamare maa baap zinda hain to unki hifazat farma, aur agar duniya se ja chuke hain to unki maghfirat farma.
-
Ya Allah, humein shirk ke har chhote aur bade gunah se bacha le. Hamare imaan ko paak aur khalis rakh aur sirf apne upar bharosa karne wala bana.
-
Ya Allah, humein maut ke waqt kalima tayyaba par qayam rakh aur humein apni rehmat ke saaye mein jagah ata farma.