Duas in Category: Parents
-
Oh Allah, our parents have raised us by facing pain throughout our life. No matter how much we serve them, we will never be able to give back what they have done for us. The comfortable life that we have got today is due to their sacrifices. We pray that our parents get heaven. Oh Allah save our parents from hell and grant them heaven.
Duas in Other Categories
-
Ya Allah, humein dunya aur akhirat ke gunahon se bacha aur humein apni yaad aur tauba par qayam rakh.
-
Ya Allah, jab hum kamzor pad jaayein to tu hamara haami aur madadgaar banna.
-
Ya Allah, Qayamat ke din humein zaleel na karna. Hum itne bade gunehgaar hai ki agar humare gunah duniya ke saamne aa jaye to hum kisi ko apna chehra nahi dikha payenge. Lekin jaise aapne zindagi bhar humare gunaho pe parda kiya hai, ussi tarah humare gunah ko maut se pehle maaf farmana, aur humein Qayamat ke din ruswai se bachana.
-
Ya Allah, qabr ke andhere, tanhaai aur ghabrahat se humein mehfooz rakhna. Farishton ke sawalon ko hamare liye aasaan farma dena.
-
Ya Allah, hamari sehat aur tandurusti ko sirf duniya ke liye nahi balki Aakhirat ke liye bhi ek zariya bana aur humein apni ibadat mein qayam rakh.
-
Ya Allah, Quran ko hamare dil ka noor, seene ka sukoon aur zindagi ka rehnuma bana. Humein Quran padhne, samajhne aur us par poore ikhlaas ke saath amal karne ki taufeeq ata farma.
-
Ya Allah, hamare dilon ko sirf apni muhabbat aur apni yaad se bhar de. Kisi aur par bharosa karne, kisi aur se darne aur kisi aur ke liye amal karne se humein bacha le.
-
Ya Allah, humein Jahannam ki aag aur uske azaab se bacha le aur apni rehmat ke saath Jannat naseeb farma.
-
Ya Allah, humein Ramadan ki qadr karne wala bana. Is mahine ki har ibadat qubool farma, gunah maaf farma aur humein dozakh se nijaat ata farma.
-
Ya Allah, humein apni aulaad ke liye behtareen naseehat aur rehnumai karne wala bana aur unhein apni rehmat ka qareeb bana de.