Become a Contributing member of our community
Duas in Category: Quran
-
Ya Allah, humare maa baap ne zindagi bhar takleef utha kar humein bada kiya hai. Unki jitni bhi khidmat hum kar lein, kabhi bhi unka badla hum chuka nahi payenge. Ye jo aaram wali zindagi humein aaj mili hai, wo sab unki qurbaniyon ke badolat mili hai. Hum dua karte hai ki humare maa baap ko jannat ul firdaus naseeb ho. Ya Allah humare maa baap ko jahannam se bacha kar jannat naseeb farmana.
-
Ya Allah, Qayamat ke din humein zaleel na karna. Hum itne bade gunehgaar hai ki agar humare gunah duniya ke saamne aa jaye to hum kisi ko apna chehra nahi dikha payenge. Lekin jaise aapne zindagi bhar humare gunaho pe parda kiya hai, ussi tarah humare gunah ko maut se pehle maaf farmana, aur humein Qayamat ke din ruswai se bachana.
-
Ya Allah, humein Quran ki tilaawat karne ki taufik ataa farma. Quran e paak ki qadr karne wala bana de. Jo kitaab apne humare deen ko mukammal banane ke liye naazil kiya tha, usko humnein kabhi padh kar aur samajh kar apni zindagi mein utaarne ki koshish nahi ki. Ya Allah, humein Quran e paak ko maine ke saath padh kar, samajh kar, siraatun mustakeem pe chalne wala bana de.
-
Ya Allah, ye Ramadan ke mahine ke liye hum bohot shukr guzaar hai. Humare kai saathi aur rishtedaar jo pichle Ramadan mein humare saath the aaj wo qabr mein lete hue hai. Lekin humein ek aur Ramadan naseeb hua hai, isse gaflat mein guzar ne nahi dena. Ho sakta hai ye humari zindagi ka bhi aakhri Ramadan ho, is mahine ki ahmiyat humare dilon mein daal de aur is mahine ki qadr karne wala banade. Is mahine ka beintehan fayda uthane ki aur neki karne ki taufeeq ataa farma.
-
Ya Allah, humare maa baap ko tandurusti ataa farma. Humein unki khidmat karne ki taufeek ataa farma. Maut ke aane tak humare maa baap ko kisi baat ki takleef na ho. Na bimari ki takleef jo jism mein dard pohonchaye aur na dil ki takleef jo kisi ki baaton se pohonche. Unhein hamesha khush rakhna aur humein unki khushiyon ki wajah banana.