Duas in Category: Maa Baap
-
Ya Allah, hamare maa baap par apni rehmat nazil farma. Agar zinda hain to sehat aur barkat wali zindagi ata farma, aur agar wafat paa chuke hain to maghfirat farma.
-
Ya Allah, hamare maa baap par apni rehmat nazil farma aur unki zindagi mein sehat aur barkat ata farma.
-
Ya Allah, agar hamare maa baap zinda hain to unki hifazat farma, aur agar duniya se ja chuke hain to unki maghfirat farma.
-
Ya Allah, hamare maa baap ke gunahon ko maaf farma aur unke darjaat ko buland farma.
-
Ya Allah, humein apne maa baap ka farmabardaar, khidmat guzaar aur unke liye dua karne wala bana.
-
Ya Allah, jis tarah unhone humein bachpan mein paala, usi tarah tu un par apni khaas rehmat farma.
-
Ya Allah, humare maa baap ne zindagi bhar takleef utha kar humein bada kiya hai. Unki jitni bhi khidmat hum kar lein, kabhi bhi unka badla hum chuka nahi payenge. Ye jo aaram wali zindagi humein aaj mili hai, wo sab unki qurbaniyon ke badolat mili hai. Hum dua karte hai ki humare maa baap ko jannat ul firdaus naseeb ho. Ya Allah humare maa baap ko jahannam se bacha kar jannat naseeb farmana.
-
Ae Allah hamare maa baap ke jaan, maal, izzat, aabru, zindagi aur Iman mein khoob barkat Ata farma, ae Allah un ke ilm aur amal mein taraqqi Naseeb farma, aur un ki Qadar daani Naseeb farma.
-
Ya Allah, humare maa baap ko tandurusti ataa farma. Humein unki khidmat karne ki taufeek ataa farma. Maut ke aane tak humare maa baap ko kisi baat ki takleef na ho. Na bimari ki takleef jo jism mein dard pohonchaye aur na dil ki takleef jo kisi ki baaton se pohonche. Unhein hamesha khush rakhna aur humein unki khushiyon ki wajah banana.
Duas in Other Categories
-
Oh Allah Forgive the sins of those who have passed away in my family & the Ummah. Protect them from the punishments of the grave and the hell fire.
-
Ya Allah, hamari qabr ko Jannat ke baaghon mein se ek baagh bana dena. Qabr ke azaab aur sakhti se humein panah ata farma.
-
Ya Allah, jab hum kamzor pad jaayein to tu hamara haami aur madadgaar banna.
-
Ya Allah, humein sirf apni fikr tak mehdood na rakh, balki poori Ummah ke liye sochne, dua karne aur madad karne wala bana.
-
Ya Allah, hamari rozi mein barkat ata farma, chahe wo kam ho ya zyada. Humein shukar guzaar aur dusron par kharch karne wala bana.
-
Oh Allah, cleanse my heart and the heart of our Ummah of the sicknesses of arrogance, malice, jealousy, hatred, self-admiration, show off, envy and pride and let all of us die as one of the sincere, humble Muslims.
-
Ya Allah, humein halaal, paak aur barkat wali rozi ata farma. Jo rozi tu de us mein sukoon aur qanaat ata farma.
-
Ya Allah, humein Ramadan ke baad bhi nek aamaal par qayam rakh. Is mahine ki roshni ko hamari poori zindagi ka noor bana dena.
-
Ya Allah, hum sabko tandurusti ataa farma. Ye dunya ki daulat, ye dunya ki shaurat, ye aaram, ye makaan aur puri duniya ke aish o aaram kuch bhi nahi hai agar tandurusti na ho. Ya Allah, jitni zindagi aapne humare liye likhi hai utni zindagi tandurusti ke saath guzre. Humare gharwalo ko, ya kisi aur ko takleef de aisi bimari se bachana. Ya Allah, maut tak humein kisi ka mohtaaj na banana.
-
Ya Allah, hamare gharwalon aur rishtedaaron ke darmiyan mohabbat, samajhdari aur ek doosre ki madad ka jazba paida farma.