Duas in Category: Livelihood
No Duas found in this Category
Duas in Other Categories
-
Ya Allah, Quran ko hamare dil ka noor bana. Humein Quran padhne, samajhne aur us par amal karne ki taufeeq ata farma, aur Quran ko hamare liye sifaarish karne wala bana.
-
Ya Allah, humein halaal, paak aur barkat wali rozi ata farma. Humein kisi ke saamne mohtaaj na bana aur apni rehmat se kaafi farma.
-
Ya Allah, hum gunehgaar hai, bohot sare gunah anjaane mein kar baithte hai, aur kayi gunah jaan kar bhi karte hai. Humare gunah itne bade hai ki maafi ke layak bhi nahi hai, lekin in bade gunaho ke aage Ya Allah aapki rehmat kai guna badi hai. Ya Rahman, aapki rehmat ke aage humare gunaho ko chota samajh kar unhein maaf farma.
-
Ya Allah, hamare chhote aur bade, zahir aur posheeda sab gunahon ko maaf farma aur humein paak aur saaf zindagi guzaarne ki taufeeq ata farma.
-
Ya Allah, humein Aakhirat ki taiyari karne wala bana. Duniya ki mohabbat ko hamare dil se kam aur Aakhirat ki fikr ko zyada kar de. Aakhirat ke har marhale mein apni rehmat se nawazna.
-
Ya Allah, jo log door hain unke darmiyan bhi mohabbat aur samajhdari ka raabta ata farma aur humein sab ke liye dua karne wala bana.
-
Ya Allah, hamari aulaad ko sehatmand aur barkat wali zindagi ata farma. Unke irade mazboot aur dil paak aur khula rahe.
-
Oh Allah, Grant my book in my right hand, make me among those who show their books to others with happiness.
-
Ya Allah, rishtedaaron ke darmiyan sakhtiyan aur nafrat door farma aur hum sabko apni rehmat aur barkat mein shamil farma.
-
Ya Allah, humein poori sehat aur tandurusti ata farma. Har bimari aur takleef se shifa ata farma.