Duas in Category: Ramadan
No Duas found in this Category
Duas in Other Categories
-
Ya Allah, Aaj humari ummat badi pareshaan hai, zulm se ghiri hui hai, na-insaafi ka shikaar bani hui hai, musibaton se jhujh rahi hai. Lekin in sab takleefon se badi ek takleef hai jo unhein mayoos kar rahi hai aur wo hai na ummeedi. Jab ek mazloom ki ummeed toot jaati hai tab uska koi sahara baki nahi rehta. Ya Allah, na ummeedi mein ummeed dikhana wale aap ho, Na mumkin ko mumkin karne wale aap ho, Mazloom ko sahara dene wale aap ho, Mayoosi ko door karne wale aap ho. Takleef se guzar rahe in tamaam logo ki awaaz sunne wale aap ho. Khaliq bhi aap ho aur Maalik bhi aap ho. Ya Allah, in musibaton se pareshaan logo ki pareshaaniyon ko door farma. Aansuon se bhari in mayoos aankhon mein khushiyan naseeb farma.
-
Ya Allah, gharwalon aur rishtedaaron ki sehat, izzat aur khushi mein barkat ata farma aur humein unka achha saathi bana.
-
Ya Allah, humein Ramadan mein apna qareebi banda bana le. Hamare dilon ko paak farma, gunahon se nafrat aur nek aamaal se mohabbat ata farma.
-
Ya Allah, jab log humein chhor kar chale jaayein, us waqt tu hamara wali aur madadgaar banna. Qabr ko hamare liye sukoon ka ghar bana dena.
-
Ya Allah, zindagi ka bohot bada hissa teri nafarmani mein guzr gaya, Ae Allah agar hum isse pehle mar jaate to yaqeenan aap ki pakar mein hote, sakhti mein hote, azaab mein hote, Ya Allah yeh teri rahmat ne na hone diya, tu ne itne mawqe diye ke hum tere saamne hamare gunaho ki maafi maang sake, Ya Allah agar tu ne hamein dhutkar diya to kon hamein panaah dega, Ya Allah koi nahi hein, Ae mere maalik hamare tamaam gunaho ko maaf Farma.
-
Ae hamare pyare Allah, jis tarah tu ne dunya mein hamare gunaho par parda daal diya, Isi tarah Akhirat mein bhi hamare gunaho par parda daal dena.
-
Ya Allah, humein dunya aur akhirat ke gunahon se bacha aur humein apni yaad aur tauba par qayam rakh.
-
Ya Allah, hamare gharwalon aur rishtedaaron ke darmiyan mohabbat aur ittifaq paida farma aur har ranjish door farma.
-
Ya Allah, hamare gunah chahe kitne hi zyada kyun na ho, tu apni rehmat se unhein maaf farma aur humein apne pasandeeda bandon mein shamil farma.
-
Oh Allah, guide and protect our teenagers who need your help and guidance from all of the temptations of sex, drugs, alcohol and all of the other Harams in our society. Oh Allah, protect them and shield them from all the harams of the world and guide them to the straight path.