Duas in Category: Hellfire
No Duas found in this Category
Duas in Other Categories
-
Ya Allah, humein shaitan ke waswason, buri nazar aur har aafat se mehfooz farma.
-
Ya Allah, maafi chahte hai un gunah ke liye jo hum karte hai, aur wo gunah ke liye jise gunah samajhte bhi nahi. Hum bohot kamzor aur chhote hai, lekin humare gunah bohot bade hai. Is mubarak mahine ki barkat se humari ye guzarish ko puri farma. Humare sagira aur qabira gunahon ko maaf farma.
-
Ya Allah, humein Hajj aur Umrah ki saadat naseeb farma. Is safar ko aasaan, maqbool aur gunahon ki maghfirat ka zariya bana.
-
Ya Allah, humein gunah par qaim rehne se bacha le aur gunah ke baad foran tauba karne wala bana. Humein apne qareeb kar le.
-
Ya Allah, rishtedaaron ke darmiyan sakhtiyan aur nafrat door farma aur hum sabko apni rehmat aur barkat mein shamil farma.
-
Ya Allah, hamare dost aur ahbab jo hamare sath kandhe se kandha mila kar namazon mein haazir hote the, aaj wo mann aur mitti ki chaadar taan kar qabr mein so gaye, Ya Allah koi nahi hein un ke ird gird, Ya Allah hum un ke liye dua karte hein, hamari duao ko un ka sathi bana kar hashr tak un ke sath shaamil rakhna aur un ki qabr ko Jannat ke baagho mein se ek baagh bana dena.
-
Oh Allah, guide and protect our teenagers who need your help and guidance from all of the temptations of sex, drugs, alcohol and all of the other Harams in our society. Oh Allah, protect them and shield them from all the harams of the world and guide them to the straight path.
-
Ya Allah, humein un logon mein shamil farma jinko tu apni rehmat aur maghfirat se bachata hai aur humein unka saathi bana.
-
Ya Allah, Laylatul Qadr ki barkat aur fazilat humein naseeb farma. Is raat mein ki gayi har dua qubool farma aur humein apni rehmat aur maghfirat se nawaz.
-
Ya Allah, hamare gunah chahe kitne hi zyada kyun na ho, tu apni rehmat se unhein maaf farma aur humein apne pasandeeda bandon mein shamil farma.