Oh Allah Forgive the sins of those who have passed away in my family & the Ummah. Protect them from the punishments of the grave and the hell fire.
Ya Allah, Qayamat ke din humein ruswa hone se bacha lena aur apni rehmat ke saaye mein jagah ata farma.
Ya Allah, Aakhirat ke har marhale ko hamare liye aasaan farma. Qabr, Hashr, Hisaab aur Pul Sirat ke har imtihaan mein apni rehmat se kaam lena. Hamari kamzori ko dekh kar humein na pakadna, balki apni rehmat se humein bakhsh dena.
Ya Allah, humein sehatmand, taqatwar aur barkat wali zindagi ata farma. Hamare jism aur rooh ko har bimaari aur kamzori se mehfooz rakh.
Ya Allah, Qayamat ke din humein apne arsh ke saaye mein jagah ata farma jab tere siwa koi saaya na hoga.
Ya Allah, jis tarah unhone humein bachpan mein paala, usi tarah tu un par apni khaas rehmat farma.
Ya Allah, humein Ramadan ke baad bhi nek aamaal par qayam rakh. Is mahine ki roshni ko hamari poori zindagi ka noor bana dena.
Ya Allah, humein faqr, tangdasti aur qarz ke bojh se bacha le. Apni rehmat ke khazane se humein be-intiha ata farma.
Ya Allah, maut ka dar aur gham door farma aur humein akhirat ke liye hamesha tayyar aur sabr wala bana.
Ya Allah, jo log door hain unke darmiyan bhi mohabbat aur samajhdari ka raabta ata farma aur humein sab ke liye dua karne wala bana.