Become a Contributing member of our community
Duas in Category: Salah
-
Ya Allah, Aaj humari ummat badi pareshaan hai, zulm se ghiri hui hai, na-insaafi ka shikaar bani hui hai, musibaton se jhujh rahi hai. Lekin in sab takleefon se badi ek takleef hai jo unhein mayoos kar rahi hai aur wo hai na ummeedi. Jab ek mazloom ki ummeed toot jaati hai tab uska koi sahara baki nahi rehta. Ya Allah, na ummeedi mein ummeed dikhana wale aap ho, Na mumkin ko mumkin karne wale aap ho, Mazloom ko sahara dene wale aap ho, Mayoosi ko door karne wale aap ho. Takleef se guzar rahe in tamaam logo ki awaaz sunne wale aap ho. Khaliq bhi aap ho aur Maalik bhi aap ho. Ya Allah, in musibaton se pareshaan logo ki pareshaaniyon ko door farma. Aansuon se bhari in mayoos aankhon mein khushiyan naseeb farma.
-
Ya Allah, hum sabko tandurusti ataa farma. Ye dunya ki daulat, ye dunya ki shaurat, ye aaram, ye makaan aur puri duniya ke aish o aaram kuch bhi nahi hai agar tandurusti na ho. Ya Allah, jitni zindagi aapne humare liye likhi hai utni zindagi tandurusti ke saath guzre. Humare gharwalo ko, ya kisi aur ko takleef de aisi bimari se bachana. Ya Allah, maut tak humein kisi ka mohtaaj na banana.
-
Oh Allah, our parents have raised us by facing pain throughout our life. No matter how much we serve them, we will never be able to give back what they have done for us. The comfortable life that we have got today is due to their sacrifices. We pray that our parents get heaven. Oh Allah save our parents from hell and grant them heaven.
-
Ya Allah aap Rahman ho, aap Raheem ho. Ek maa apne bachhe se jitna pyaar karti hai, usse kai guna zyada pyaar aap apne bando se karte ho. Ek maa apne bigde hue bachhe ko seene se laga kar uski buraiyo pe parda dal deti hai, ussi tarah, aap hum sab ki buraiyo pe parda daal kar hum par rahmat barsa aur hum sab ke gunaho ko maaf farma.
-
Ya Allah, hum gunehgaar hai, bohot sare gunah anjaane mein kar baithte hai, aur kayi gunah jaan kar bhi karte hai. Humare gunah itne bade hai ki maafi ke layak bhi nahi hai, lekin in bade gunaho ke aage Ya Allah aapki rehmat kai guna badi hai. Ya Rahman, aapki rehmat ke aage humare gunaho ko chota samajh kar unhein maaf farma.
-
Ya Allah, duniya mein kayi Musalmaan bhai, behne aur bachhe pareshaan hai. Unka koi madad karne wala nahi hai. Koi unke aansoo pochne wala nahi hai. Koi unhe sahara dene wala nahi hai. Hum madad karna chahte hue bhi unki sahi tarah se madad nahi kar pa rahe hai. Aisi haalat mein sirf aap hi ho jo un pareshaan logon ki hifaazat kar sakte ho. Ya Allah takleef se pareshaan musalmano ki takleef ko door farma.