Duas in Category: Tandurusti
-
Ya Allah, humein poori sehat aur tandurusti ata farma. Har bimari aur takleef se shifa ata farma.
-
Ya Allah, humein sehatmand, taqatwar aur barkat wali zindagi ata farma. Hamare jism aur rooh ko har bimaari aur kamzori se mehfooz rakh.
-
Ya Allah, humein har gham, dard aur takleef se bacha aur hamari tandurusti ko barqarar rakh.
-
Ya Allah, humein apni tandurusti ke zariye teri ibadat aur nek aamaal karne ka qudrat ata farma aur kamzori aur bimarion se humein mehfooz rakh.
-
Ya Allah, humein apni sehat aur taqat se paripurna rakh aur hamesha humein teri rehmat aur barkat ka shukar guzaar bana.
-
Ya Allah, hamari sehat aur tandurusti ko sirf duniya ke liye nahi balki Aakhirat ke liye bhi ek zariya bana aur humein apni ibadat mein qayam rakh.
-
Ya Allah, hum sabko tandurusti ataa farma. Ye dunya ki daulat, ye dunya ki shaurat, ye aaram, ye makaan aur puri duniya ke aish o aaram kuch bhi nahi hai agar tandurusti na ho. Ya Allah, jitni zindagi aapne humare liye likhi hai utni zindagi tandurusti ke saath guzre. Humare gharwalo ko, ya kisi aur ko takleef de aisi bimari se bachana. Ya Allah, maut tak humein kisi ka mohtaaj na banana.
Duas in Other Categories
-
Ya Allah, hum se jaane aur anjaane mein jo bhi gunah ho gaye hain, un sab ko apni rehmat se maaf farma. Humein sacchi tauba naseeb farma.
-
Ya Allah, humein har zahiri aur batini buraai se mehfooz rakh. Nazar-e-bad, hasad aur har museebat se hamari hifazat farma.
-
Ya Allah, hamari qabr ko Jannat ke baaghon mein se ek baagh bana dena. Qabr ke azaab aur sakhti se humein panah ata farma.
-
Oh Allah Protect our children from harm, sicknesses, disbelief, haraam and destruction. Ya Rabb, Grant our children success in Deen, duniya & Aakhirah & grant us a lineage of righteous offspring until Yawm al Qiyaamah. Ya Allah Make them of those who establish Salah and prostrate only to you.
-
Oh Allah, please grant my family/friends who are waiting for the gift of “children”.. Please grant them Saleh children who will grow up to be a source of Mercy for them. Ya Allah Make our children workers for Your Deen, hafidhul Quran, da’ees, imaams, scholars and shaheeds.
-
Oh Allah, bring all humans closer to You and each other. Please do not make us Muslims a test for them with our misrepresentation of Islam because of our bad behavior. Oh Allah, save humanity from being its own enemy. Protect Your creation from oppression.
-
Ya Allah, humein har zahir aur posheeda buraayi se mehfooz rakh. Apni hifazat mein le le.
-
Ya Allah, humein un logon mein shamil farma jo Aakhirat ke liye jeete hain aur duniya ko sirf ek imtihaan samajhte hain. Hamare aamaal ko khalis apni raza ke liye bana de aur humein riya, dikhave aur ghuroor se mehfooz rakh.
-
Ya Allah, Qayamat ke din humein apne arsh ke saaye mein jagah ata farma jab tere siwa koi saaya na hoga.
-
Ae Allah hamare maa baap ke jaan, maal, izzat, aabru, zindagi aur Iman mein khoob barkat Ata farma, ae Allah un ke ilm aur amal mein taraqqi Naseeb farma, aur un ki Qadar daani Naseeb farma.