Duas in Category: Qayamat
-
Ya Allah, Qayamat ke din humein ruswai se bacha le. Hamara aamaal-naama daaye haath mein ata farma aur humein asaan hisaab naseeb farma.
-
Ya Allah, Qayamat ke din humein ruswa hone se bacha lena aur apni rehmat ke saaye mein jagah ata farma.
-
Ya Allah, Qayamat ke din jab aamaal ka wazan hoga, hamare nek aamaal ko bhaari aur gunahon ko halka farma.
-
Ya Allah, Qayamat ke din humein apne arsh ke saaye mein jagah ata farma jab tere siwa koi saaya na hoga.
-
Ya Allah, Qayamat ke din hamara hisaab aasaan farma aur humein daaye haath mein nama-e-aamaal ata farma.
-
Ya Allah, Qayamat ke din humein Nabi Kareem ki shafa�at naseeb farma aur humein kamyaab bandon mein shamil farma.
-
Ya Allah, Qayamat ke din humein zaleel na karna. Hum itne bade gunehgaar hai ki agar humare gunah duniya ke saamne aa jaye to hum kisi ko apna chehra nahi dikha payenge. Lekin jaise aapne zindagi bhar humare gunaho pe parda kiya hai, ussi tarah humare gunah ko maut se pehle maaf farmana, aur humein Qayamat ke din ruswai se bachana.
Duas in Other Categories
-
Ya Allah, Aakhirat ke har marhale ko hamare liye aasaan farma. Qabr, Hashr, Hisaab aur Pul Sirat ke har imtihaan mein apni rehmat se kaam lena. Hamari kamzori ko dekh kar humein na pakadna, balki apni rehmat se humein bakhsh dena.
-
Ya Allah, aainda jitni zindagi hein, yeh to tu hi Jaanta hein, Ae Allah zindagi ke jitne ayyaam baaqi hein, jitne saal baaqi hein, ae Allah zindagi ke un ayyaam ko apni razamandi wale kaam mein, aur apne Deen mein kharach karne ki tawfeeq Ata farma, ae Allah apne pasandeeda kaamo mein guzaarne ki tawfeeq Ata farma, ae Allah in pasandeeda kaam ko karna hamare liye aasaan karde, in naik kaamo ko karna hamari tabiyat bana de.
-
Oh Allah Save our children from the impact of our mistakes in their lives. Ya Allah, assist us with physical & emotional strength to be a good parents & example to our children. Ya Allah Make our children the coolness of our eyes and make them sawaab-e-jaariya for me & my spouse.
-
Ya Allah, hamare maa baap par apni rehmat nazil farma aur unki zindagi mein sehat aur barkat ata farma.
-
Ya Allah, nikah ke rishton mein mohabbat, samajhdari aur imaan ko qaim rakh. Har faisla aur har masla sirf teri raza ke liye ho.
-
Ya Allah, jin Musalmaan bhai aur behen ka nikah ka waqt aa gaya hai, unke liye paak, barkat aur sukoon wala rishta ata farma. Unki aankhon ki thandak aur dil ki khushi ka zariya bana.
-
Ya Allah, humein Jannat-ul-Firdous bina hisaab ke naseeb farma aur apna deedar ata farma. Hamare dil ko har waqt teri yaad se roshan rakh.
-
Ya Allah, humein Jahannam ki aag aur uske azaab se mehfooz rakh. Apni rehmat ke saaye mein humein panah ata farma.
-
Ya Allah, hamari aulaad ko sehatmand aur barkat wali zindagi ata farma. Unke irade mazboot aur dil paak aur khula rahe.
-
Ya Allah, tu ne Quran mein farmaya ke tu har gunah ko maaf karta hein, chota ho ya bara, Ya Allah, is Ayat ke zel mein ham sab gunehgaro ki maghfirat farma.