Ya Allah, nikah ke zariye humein teri raza ke kareeb la aur har rishta aur har ghar teri rehmat aur barkat se roshan ho.
Ya Allah, jin ka nikah nahi hua unhein paak aur behtareen rishta ata farma, aur nikah ko barkat aur sukoon ka zariya bana.
Ya Allah, jin Musalmaan bhai aur behen ka nikah ka waqt aa gaya hai, unke liye paak, barkat aur sukoon wala rishta ata farma. Unki aankhon ki thandak aur dil ki khushi ka zariya bana.
Ya Allah, nikah ke rishton mein har qadam tere hukm ke mutabiq ho aur dono partners ek doosre ke liye apni aankhon ki thandak aur deen ke qareeb hon.
Ya Allah, Jo musalmaan bhai aur behan nikah ki umar ke ho gaye hai, unke nikah ko mukammal farma. Jo unki aankhon ki thandak bane aur ek doosre ko aapke aur deen ke kareeb kare aise paak rishte ko qubool farma. Halaal rishte ke saath halaal rozi ka zariya naseeb farma.
Ya Allah, apne pasandeeda bandon ke liye halal rizq aur barkat ata farma aur unke rishte ko sada khushi aur sukoon se bhar de.