Become a Contributing member of our community
Ya Allah, maafi chahte hai un gunah ke liye jo hum karte hai, aur wo gunah ke liye jise gunah samajhte bhi nahi. Hum bohot kamzor aur chhote hai, lekin humare gunah bohot bade hai. Is mubarak mahine ki barkat se humari ye guzarish ko puri farma. Humare sagira aur qabira gunahon ko maaf farma.
-
Ya Allah, hum gunehgaar hai, bohot sare gunah anjaane mein kar baithte hai, aur kayi gunah jaan kar bhi karte hai. Humare gunah itne bade hai ki maafi ke layak bhi nahi hai, lekin in bade gunaho ke aage Ya Allah aapki rehmat kai guna badi hai. Ya Rahman, aapki rehmat ke aage humare gunaho ko chota samajh kar unhein maaf farma.
-
Ya Allah aap Rahman ho, aap Raheem ho. Ek maa apne bachhe se jitna pyaar karti hai, usse kai guna zyada pyaar aap apne bando se karte ho. Ek maa apne bigde hue bachhe ko seene se laga kar uski buraiyo pe parda dal deti hai, ussi tarah, aap hum sab ki buraiyo pe parda daal kar hum par rahmat barsa aur hum sab ke gunaho ko maaf farma.
-
Ya Allah, zindagi ka bohot bada hissa teri nafarmani mein guzr gaya, Ae Allah agar hum isse pehle mar jaate to yaqeenan aap ki pakar mein hote, sakhti mein hote, azaab mein hote, Ya Allah yeh teri rahmat ne na hone diya, tu ne itne mawqe diye ke hum tere saamne hamare gunaho ki maafi maang sake, Ya Allah agar tu ne hamein dhutkar diya to kon hamein panaah dega, Ya Allah koi nahi hein, Ae mere maalik hamare tamaam gunaho ko maaf Farma.